patthar na bana de mujhe mausam ki ye saKHti
mar jaen mere KHwab na tabir ke Dar se
Dr. Pinhaan
ye dil ajib hai aksar kamal karta hai
jawab jin ka nahin wo sawal karta hai
Dr. Pinhaan
ab to is talab ka pani badal do
ye kanwal ke phul kumhlane lage hain
Dushyant Kumar
ek qabristan mein ghar mil raha hai
jis mein tah-KHanon se tah-KHane lage hain
Dushyant Kumar
ho gai hai pir parwat si pighalni chahiye
is himale se koi ganga nikalni chahiye
Dushyant Kumar
kahan to tai tha charaghan har ek ghar ke liye
kahan charagh mayassar nahin shahar ke liye
Dushyant Kumar
kaise aakash mein suraKH nahin ho sakta
ek patthar to tabiat se uchhaalo yaro
Dushyant Kumar