lahu-luhan nazaron ka zikr aaya to
sharif log uThe dur ja ke baiTh gae
Dushyant Kumar
main jise oDhta bichhata hun
wo ghazal aap ko sunata hun
Dushyant Kumar
na ho qamiz to panw se peT Dhak lenge
ye log kitne munasib hain is safar ke liye
Dushyant Kumar
nazar-nawaz nazara badal na jae kahin
zara si baat hai munh se nikal na jae kahin
Dushyant Kumar
sirf hangama khaDa karna mera maqsad nahin
meri koshish hai ki ye surat badalni chahiye
Dushyant Kumar
tera nizam hai sil de zaban-e-shaer ko
ye ehtiyat zaruri hai is bahar ke liye
Dushyant Kumar
tumhaare paon ke niche koi zamin nahin
kamal ye hai ki phir bhi tumhein yaqin nahin
Dushyant Kumar