tum se ab kya kahen wo chiz hai dagh-e-gham-e-ishq
ki chhupae na chhupe aur dikhae na bane
Dattatriya Kaifi
wafa par dagha sulh mein dushmani hai
bhalai ka hargiz zamana nahin hai
Dattatriya Kaifi
ya ilahi mujh ko ye kya ho gaya
dosti ka teri sauda ho gaya
Dattatriya Kaifi
dekhna hai piya ki zulf-e-daraaz
ya ilahi mujhe de umr-e-daraaz
Daud Aurangabadi
diya us KHush-nayan ne raat kun mujh kun suragh apna
kiya main roghan-e-baadam sun raushan charagh apna
Daud Aurangabadi
har kitab-e-sohbat-e-rangin ke mani dekh kar
fard-e-tanhai ke mazmun kun kiya hun intiKHa
Daud Aurangabadi
piw bina dil mera udasi hai
gah jogi hai gah sanyasi hai
Daud Aurangabadi