aqam karne kun wasf-e-zulf-e-dildar
mujhe har waqt mashq-e-lam hai bas
Daud Aurangabadi
sar kaT kyun jalate hain raushan dilan ke tain
aahan-dili pe KHalq ki KHandan hun misl-e-shama
Daud Aurangabadi
shisha-e-abru sambhaal ai dil
daur ulTa chala hai duniya ka
Daud Aurangabadi
sun nasihat meri ai zahid-e-KHushk
ashk ke aab bin wuzu mat ka
Daud Aurangabadi
tujh hijr ki agan kun bujhane ai sang dil
koi aab-zan-rafiq ba-juz chashm-e-tar nahin
Daud Aurangabadi
yak qadam rah-e-dost hai 'daud'
lekin afsos pa-e-baKHt hai lang
Daud Aurangabadi
yarab tu mujhe mere gunahon ki saza de
ya mujh ko gunahon ke liye apni raza de
Deepti Mishra