اردو हिंदी
Koi dil-lagi dil lagana nahin hai | Shaahi Shayari
koi dil-lagi dil lagana nahin hai

Ghazal

Koi dil-lagi dil lagana nahin hai

Dattatriya Kaifi

;

koi dil-lagi dil lagana nahin hai
qayamat hai ye dil ka aana nahin hai

manaen unhen wasl mein kis tarah hum
ye ruThe ka koi manana nahin hai

hai manzur unhen imtihan shauq-e-dil ka
nazakat ka KHali bahana nahin hai

wafa par dagha sulh mein dushmani hai
bhalai ka hargiz zamana nahin hai

shab-e-gham bhi ho jaegi ek din aaKHir
kabhi ek rawish par zamana nahin hai

hai ku-e-butan bas ghar us ka hi 'kaifi'
zamane mein jis ko Thikana nahin hai