shirkat-e-gham bhi nahin chahti ghairat meri
ghair ki ho ke rahe ya shab-e-furqat meri
Dagh Dehlvi
shoKHi se Thaharti nahin qatil ki nazar aaj
ye barq-e-bala dekhiye girti hai kidhar aaj
Dagh Dehlvi
sitam hi karna jafa hi karna nigah-e-ulfat kabhi na karna
tumhein qasam hai hamare sar ki hamare haq mein kami na karna
Dagh Dehlvi
sun ke mera fasana unhen lutf aa gaya
sunta hun ab ki roz talab qissa-KHwan ki hai
Dagh Dehlvi
sunai jati hain dar-parda galiyan mujh ko
kahun jo main to kahe aap se kalam nahin
Dagh Dehlvi
tabiat koi din mein bhar jaegi
chaDhi hai ye naddi utar jaegi
Dagh Dehlvi
tadbir se qismat ki burai nahin jati
bigDi hui taqdir banai nahin jati
Dagh Dehlvi