wahi qatil wahi munsif bana hai
usi se faisla Thahra hua hai
Abdussamad ’Tapish’
waqt ke daman mein koi
apni ek kahani rakh
Abdussamad ’Tapish’
wo baDa tha phir bhi wo is qadar be-faiz tha
us ghanere peD mein jaise koi saya na tha
Abdussamad ’Tapish’
ye main hun KHud ki koi aur hai taaqub mein
ye ek saya pas-e-rahguzar kis ka hai
Abdussamad ’Tapish’
hamin jahan ke pichhe paDe rahen kab tak
hamare pichhe kabhi ye jahan bhi paDta
Abhishek Shukla
kabhi kabhi to ye wahshat bhi hum pe guzri hai
ki dil ke sath hi dekha hai Dubna shab ka
Abhishek Shukla
main choT kar to raha hun hawa ke mathe par
maza to jab tha ki koi nishan bhi paDta
Abhishek Shukla