KHamoshi meri lai mein gungunana chahti hai
kisi se baat karne ka bahana chahti hai
Abdur Rauf Urooj
nafas ke loch ko KHanjar banana chahti hai
mohabbat apni tezi aazmana chahti hai
Abdur Rauf Urooj
ye tabassum ka ujala ye nigahon ki sahar
log yun bhi to chhupate hain andhere dil mein
Abdur Rauf Urooj
zindagi azmat-e-hazir ke baghair
ek tasalsul hai magar KHwabon ka
Abdur Rauf Urooj
zulmaten wahshat-e-farda se niDhaal
DhunDhti phirti hain ghar KHwabon ka
Abdur Rauf Urooj
tu ne mujh ko bana diya insan
main ne tujh ko KHuda banaya hai
abdurrahman momin
apni namus ki aati hai hifazat jin ko
jaan de dete hain dastar nahin dete hain
Abdushshukoor Aasi