falak se kaise mera gham dikhai dega tujhe
kabhi zamin pe aa aur zamin se dekh mujhe
Abid Malik
hazar tane sunega KHajil nahin hoga
ye wo hujum hai jo mushtail nahin hoga
Abid Malik
miyan ye ishq to sab TuT kar hi karte hain
kisi se hijr agar walihana ho jae
Abid Malik
nikal lae hain sab log us ke aks mein naqs
ye aaina abhi tayyar hone wala hai
Abid Malik
puchhta phirta hun main apna pata jangal se
aaKHiri bar daraKHton ne mujhe dekha tha
Abid Malik
sab mujhe DhunDne nikle hain bujha kar aankhen
baat nikli hai ki main KHwab mein paya gaya hun
Abid Malik
ye mohabbat koi anjaan si shai hoti thi
kya ye kam hai ki ise teri badaulat samjhe
Abid Malik