ab nishana us ki apni zat hai
laD raha hai ek anokhi jang wo
Abdussamad ’Tapish’
hawa-e-tund kaisi chal paDi hai
shajar par ek bhi patta nahin hai
Abdussamad ’Tapish’
jafa ke zikr pe wo bad-hawas kaisa hai
zara si baat thi lekin udas kaisa hai
Abdussamad ’Tapish’
jahan tak panw mere ja sake hain
wahin tak rasta Thahra hua hai
Abdussamad ’Tapish’
kaun patthar uThae
ye shajar be-samar hai
Abdussamad ’Tapish’
koi column nahin hai hadson par
bacha kar aaj ka aKHbar rakhna
Abdussamad ’Tapish’
kuchh haqaeq ke zinda paikar hain
lafz mein kya bayan mein kya hai
Abdussamad ’Tapish’