ye ehtimam-e-charaghan baja sahi lekin
sahar to ho nahin sakti diye jalane se
Bashar Nawaz
sham Dhalte hi ye aalam hai to kya jaane bashir
haal apna subh tak be-rabt nabzen kya karen
Basheer Ahmad Basheer
aankhon mein raha dil mein utar kar nahin dekha
kashti ke musafir ne samundar nahin dekha
Bashir Badr
aashiqi mein bahut zaruri hai
bewafai kabhi kabhi karna
Bashir Badr
abhi rah mein kai moD hain koi aaega koi jaega
tumhein jis ne dil se bhula diya use bhulne ki dua karo
Bashir Badr
achchha tumhaare shahar ka dastur ho gaya
jis ko gale laga liya wo dur ho gaya
Bashir Badr
agar fursat mile pani ki tahriron ko paDh lena
har ek dariya hazaron sal ka afsana likhta hai
Bashir Badr