yun bhi hone ka pata dete hain
apni zanjir hila dete hain
Baqi Siddiqui
zindagi ki bisat par 'baqi'
maut ki ek chaal hain hum log
Baqi Siddiqui
din-raat paDa rahta hun darwaze pe apne
is gham mein ki koi kabhi aata tha idhar se
Barq Dehlvi
ahega kis ka hissa beshtar mere miTane mein
ye baham faisla pahle zamin o aasman kar len
Barq Dehlvi
shab-e-furqat nazar aate nahin aasar-e-sahar
itni zulmat hai ruKH-e-shama pe bhi nur nahin
Barq Dehlvi
ahut tha KHauf jis ka phir wahi qissa nikal aaya
mere dukh se kisi aawaz ka rishta nikal aaya
Bashar Nawaz
ghaTti baDhti raushniyon ne mujhe samjha nahin
main kisi patthar kisi diwar ka saya nahin
Bashar Nawaz