main tujh ko jagti aankhon se chhu sakun na kabhi
meri ana ka bharam rakh le mere KHwab mein aa
Abdullah Kamal
tum to ai KHushbu hawao us se mil kar aa gain
ek hum the zaKHm-e-tanhai hara karte rahe
Abdullah Kamal
wo qayamat thi ki reza reza ho ke uD gaya
ai zamin warna kabhi ek aasman mera bhi tha
Abdullah Kamal
gulchin bahaar-e-gul mein na kar man-e-sair-e-bagh
kya hum ghubar daman-e-baad-e-saba ke hain
Abdullla Khan Mehr Lakhnavi
aawaz de raha hai akela KHuda mujhe
main us ko sun raha hun hawaon ke kan se
Abdur Rahim Nashtar
apni hi zat ke sahra mein sulagte hue log
apni parchhain se Takrae hayyulon se mile
Abdur Rahim Nashtar
dekh raha tha jate jate hasrat se
soch raha hoga main us ko rokunga
Abdur Rahim Nashtar