apne hone ka ek ek pal tajraba karte rahe
nok-e-neza par bhi hum raqs-e-ana karte rahe
ek musalsal jang thi KHud se ki hum zinda hain aaj
zindagi hum tera haq yun bhi ada karte rahe
hath mein patthar na tha chehre pe wahshat bhi na thi
phir wo kya tha jis pe hum yun qahqaha karte rahe
kuchh na kuchh to pesh-e-manzar mein bhi shayad tha kahin
kuchh pas-e-manzar bhi hum aab-o-hawa karte rahe
be-talab baDhta raha har lamha qarz-e-jaan ka bojh
be-sabab hi har nafas KHud ko ada karte rahe
dur tak phaila diye kohsar jangal wadiyan
rizq aankhon ko diya har pal naya karte rahe
tum to ai KHushbu hawao us se mil kar aa gain
ek hum the zaKHm-e-tanhai hara karte rahe
zahr KHud bote rahe ujli hawaon mein 'kamal'
chand sanson ko bhi hum be-zaiqa karte rahe
Ghazal
Apne hone ka ek ik pal tajraba karte rahe
Abdullah Kamal