qarib se na guzar intizar baqi rakh
qarabaton ka magar e'tibar baqi rakh
Ateeq Asar
uThe jate hain dida-war sabhi aahista aahista
ye duniya mo'tabar logon se KHali hoti jati hai
Ateeq Asar
wo baat mujh ko to dushnam si lagi hai 'atiq'
tumhaara nam likha kis ne be-wafaon mein
Ateeq Asar
aaina dusron ki jaanib hai
apni surat nazar nahin aati
Ateeya Niyazi
aadmi ka amal se rishta hai
kaam aata nahin nasab kuchh bhi
Athar Nadir
ab aa bhi jao ki ek dusre mein gum ho jaen
visal-o-hijr ka qissa bahut purana hua
Athar Nadir
dekho to har ek rang se milta hai mera rang
socho to har ek baat hai auron se juda bhi
Athar Nadir