masruf hum bhi anjuman-araiyon mein the
ghar jal raha tha log tamashaiyon mein the
Asrar Zaidi
sulag raha hun KHud apni hi aag mein kab se
ye mashghala to mere dard ki asas na tha
Asrar Zaidi
ye sal tul-e-masafat se chur chur gaya
ye ek sal to guzra hai ek sadi ki tarah
Asrar Zaidi
aap ki maKHmur aankhon ki qasam
meri mai-KHwari abhi tak raaz hai
Asrar-ul-Haq Majaz
ai shauq-e-nazara kya kahiye nazron mein koi surat hi nahin
ai zauq-e-tasawwur kya kije hum surat-e-jaanan bhul gae
Asrar-ul-Haq Majaz
ahut mushkil hai duniya ka sanwarna
teri zulfon ka pech-o-KHam nahin hai
Asrar-ul-Haq Majaz
ataun kya tujhe ai ham-nashin kis se mohabbat hai
main jis duniya mein rahta hun wo is duniya ki aurat hai
Asrar-ul-Haq Majaz