اردو हिंदी
Sara aalam gosh-bar-awaz hai | Shaahi Shayari
sara aalam gosh-bar-awaz hai

Ghazal

Sara aalam gosh-bar-awaz hai

Asrar-ul-Haq Majaz

;

sara aalam gosh-bar-awaz hai
aaj kin hathon mein dil ka saz hai

tu jahan hai zamzama-pardaz hai
dil jahan hai gosh-bar-awaz hai

han zara jurat dikha ai jazb-e-dil
husn ko parde pe apne naz hai

ham-nashin dil ki haqiqat kya kahun
soz mein Duba hua ek saz hai

aap ki maKHmur aankhon ki qasam
meri mai-KHwari abhi tak raaz hai

hans diye wo mere rone par magar
un ke hans dene mein bhi ek raaz hai

chhup gae wo saz-e-hasti chheD kar
ab to bas aawaz hi aawaz hai

husn ko nahaq pasheman kar diya
ai junun ye bhi koi andaz hai

sari mahfil jis pe jhum uTThi 'majaz'
wo to aawaz-e-shikast-e-saz hai