yahi insaf tere ahd mein hai ai shah-e-husn
wajib-ul-qatl mohabbat ke gunahgar hain sa
Arshad Ali Khan Qalaq
yun rahi-e-adam hui ba-wasf-e-uzr-e-lang
mahsus aaj tak na hue naqsh-e-pa-e-shama
Arshad Ali Khan Qalaq
yun ruh thi adam mein meri bahr-e-tan udas
ghurbat mein jis tarah ho gharib-ul-watan udas
Arshad Ali Khan Qalaq
zamin panw ke niche se sarki jati hai
hamein na chheDiye hum hain falak satae hue
Arshad Ali Khan Qalaq
aisi hi be-chehragi chhai hui hai shahr mein
aap-apna aks hun main aap aaina hun main
Arshad Jamal u0027Sarimu0027
as itna rabt kafi hai mujhe ai bhulne wale
teri soi hui aankhon mein akasr jagta hun main
Arshad Jamal u0027Sarimu0027
dekh ai meri zabun-haali pe hansne wale
waqt ki dhup ne kis darja nikhaara mujh ko
Arshad Jamal u0027Sarimu0027