mujh se un aankhon ko wahshat hai magar mujh ko hai ishq
khela karta hun shikar aahu-e-sahrai ka
Arshad Ali Khan Qalaq
naya mazmun lana kaTna koh-o-jabal ka hai
nahin hum sher kahte pesha-e-farhad kahte hain
Arshad Ali Khan Qalaq
phans gaya hai dam-e-kakul mein butan-e-hind ke
tair-e-dil ko hamare ram-dana chahiye
Arshad Ali Khan Qalaq
phir gaya aankhon mein us kan ke moti ka KHayal
gosh-e-gul tak na koi qatra-e-shabnam aaya
Arshad Ali Khan Qalaq
phir mujh se is tarah ki na kijega dil-lagi
KHair is ghaDi to aap ka main kar gaya lihaz
Arshad Ali Khan Qalaq
puchha saba se us ne pata ku-e-yar ka
dekho zara shuur hamare ghubar ka
Arshad Ali Khan Qalaq
'qalaq' ghazlen paDhenge ja-e-quran sab pas-e-murdan
hamari qabr par jab majma-e-ahl-e-suKHan hoga
Arshad Ali Khan Qalaq