ah-e-haq mein khel jaan-bazi hai o zahir-parast
kya tamasha dar par mansur ne naT ka kiya
Arshad Ali Khan Qalaq
aste mein un ko chheD ke khate hain galiyan
bazar ki miThai bhi hoti hai kya laziz
Arshad Ali Khan Qalaq
uKH tah-e-zulf hai aur zulf pareshan sar par
mang baalon mein nahin hai ye numayan sar pa
Arshad Ali Khan Qalaq
said KHaif wo hon is said-gah-e-alam mein
apne sae ko samajhta hun ki sayyaad aaya
Arshad Ali Khan Qalaq
sindur us ki mang mein deta hai yun bahaar
jaise dhanak nikalti hai abr-e-siyah mein
Arshad Ali Khan Qalaq
sitam wo tum ne kiye bhule hum gila dil ka
hua tumhaare bigaDne se faisla dil ka
Arshad Ali Khan Qalaq
tilai rang jaanan ka agar mazmun likhun KHat mein
to haala gird harfon ke bane sone ke pani ka
Arshad Ali Khan Qalaq