apne begane se ab mujh ko shikayat na rahi
dushmani kar ke mere dost ne mara mujh ko
Arshad Ali Khan Qalaq
aad mere jo kiya shad kisi ko to kaha
hum ko is waqt wo nashad bahut yaad aaya
Arshad Ali Khan Qalaq
ahaar aate hi zaKHm-e-dil hare sab ho gae mere
udhar chaTka koi ghuncha idhar TuTa har ek Tanka
Arshad Ali Khan Qalaq
ana kar til ruKH-e-raushan par do shoKHi se se kahte hain
ye kajal hum ne yara hai charagh-e-mah-e-taban pa
Arshad Ali Khan Qalaq
arabar ek se misra nazar aate hain abru ke
tawarud kahiye ya hai ek mein mazmun chori ka
Arshad Ali Khan Qalaq
e-abr rind pite nahin waizo sharab
karte hain ye gunah bhi rahmat ke zor pa
Arshad Ali Khan Qalaq
e-sabab ghunche chaTakte nahin gulzaron mein
phir raha hai ye DhinDhora teri ranai ka
Arshad Ali Khan Qalaq