kuchh sitare meri palkon pe chamakte hain abhi
kuchh sitare mere sine mein samae hue hain
Arshad Abdul Hamid
main apne aap ko bhi dekhne se qasir hun
ye sham-e-hijr mujhe kya dikhana chahti hai
Arshad Abdul Hamid
mile jo us se to yaadon ke par nikal aae
is ek maqam pe kitne safar nikal aae
Arshad Abdul Hamid
mera hi sina kushada hai chahaton ke tain
tufang-e-dard mera hi nishana chahti hai
Arshad Abdul Hamid
miTTi ko chum lene ki hasrat hi rah gai
TuTa jo shaKH se to hawa le gai mujhe
Arshad Abdul Hamid
muddaton ghaw kiye jis ke badan par hum ne
waqt aaya to usi KHwab ko talwar kiya
Arshad Abdul Hamid
sawan aate hi baDhe aawazon ka zor
KHushbu chiKHe Dal par rang machaen sho
Arshad Abdul Hamid