اردو हिंदी
Mile jo us se to yaadon ke par nikal aae | Shaahi Shayari
mile jo us se to yaadon ke par nikal aae

Ghazal

Mile jo us se to yaadon ke par nikal aae

Arshad Abdul Hamid

;

mile jo us se to yaadon ke par nikal aae
is ek maqam pe kitne safar nikal aae

ujaD dasht mein bas jae meri virani
ajab nahin ki yahin koi ghar nikal aae

bas ek lamhe ko chamki thi us ki tegh-e-nazar
KHala-e-waqt mein qarnon ke sar nikal aae

machan bandhne wale nishana chuk gae
ki KHud machan ki jaanib se Dar nikal aae

shahid-e-ku-e-mohabbat hain kanp jate hain
nadim KHair se koi agar nikal aae

daraKHt-e-sabr-burida sahi pe jaante hain
hua hai ye bhi ki us par samar nikal aae

adu ke hath bhi tegh o tabar se KHali hain
ajib kya hai jo hum be-sipar nikal aae

gham-e-jahan o gham-e-yar do kinare hain
udhar jo Dube wo aksar idhar nikal aae

yahan to ahl-e-hunar ke bhi panw jalte hain
ye rah-e-sher hai 'arshad' kidhar nikal aae