sath jo de na saka rah-e-wafa mein apna
be-irada bhi use yaad kiya hai barson
Anwarul Hasan Anwar
sukun-e-dil na mayassar hua zamane mein
na yaad rakhne mein tum ko na bhul jaane mein
Anwarul Hasan Anwar
wo iztirab-e-musalsal ka lutf kya jaane
musibaton se jo ghabra gaya zamane mein
Anwarul Hasan Anwar
ye awadh hai ki jahan sham kabhi KHatm nahin
wo banaras hai jahan rose sahar hoti hai
Anwarul Hasan Anwar
as wahi ashk mera hasil-e-girya hai 'aqil'
jo mere dida-e-namnak se bahar hai abhi
Aqeel Abbas Jafri
har ishq ke manzar mein tha ek hijr ka manzar
ek wasl ka manzar kisi manzar mein nahin tha
Aqeel Abbas Jafri
ab bhi kuchh log mohabbat pe yaqin rakhte hain
ho jo mumkin to unhen des nikala de do
Aqeel Danish