sifarish ham-damon ki un ka jate waqt ye kahna
ki jab taDpe meri taswir sine se laga dena
Anwari Jahan Begum Hijab
sina se sina mila dena to kuchh mushkil nahin
yar mushkil to tere dil se milana dil ka hai
Anwari Jahan Begum Hijab
ab tere hijr mein yun umr basar hoti hai
sham hoti hai to ro ro ke sahar hoti hai
Anwarul Hasan Anwar
e-KHayali mein bhi phir un ka KHayal aata hai
wahi taswir mere pesh-e-nazar hoti hai
Anwarul Hasan Anwar
hulne wale tujhe yaad kiya hai barson
dil-e-viran ko yun aabaad kiya hai barson
Anwarul Hasan Anwar
ijli giri thi kab ye kisi ko KHabar nahin
ab tak chaman mein aag lagi hai bahaar mein
Anwarul Hasan Anwar
kuchh andalib ka KHun jigar bhi hai shamil
gulon ki bazm ki ranginiyan baDhane mein
Anwarul Hasan Anwar