hanste hanste nikal paDe aansu
rote rote kabhi hansi aai
Anwar Taban
har ek shaKHs mera shahr mein shanasa tha
magar jo ghaur se dekha to main akela tha
Anwar Taban
harim-e-naz ke parde mein jo nihan tha kabhi
usi ne shoKH adaen dikha ke luT liya
Anwar Taban
is KHauf mein ki khud na bhaTak jaen rah mein
bhaTke huon ko rah dikhata nahin koi
Anwar Taban
ji to ye chahta hai mar jaen
zindagi ab teri raza kya hai
Anwar Taban
KHushi ki baat aur hai ghamon ki baat aur
tumhaari baat aur hai hamari baat au
Anwar Taban
kisi ki barq-e-nazar se na bijliyon se jale
kuchh is tarah ki ho tamir aashiyane ki
Anwar Taban