Duboe deta hai KHud-agahi ka bar mujhe
main Dhalta nashsha hun mauj-e-tarab ubhaar mujhe
Anwar Siddiqui
kitne subuk-dil hue tujh se bichhaDne ke baad
un se bhi milna paDa jin se mohabbat na thi
Anwar Siddiqui
sari shafaq sameT ke suraj chala gaya
ab kya raha hai mauj-e-shab-e-tar ke siwa
Anwar Siddiqui
ujalti nahin ab mujh ko koi tariki
sanwarta nahin ab koi hadsa mujh ko
Anwar Siddiqui
aaega wo din hamari zindagi mein bhi zarur
jo andheron ko miTa kar raushni de jaega
Anwar Taban
aaj maghmum kyun ho ai 'taban'
kuchh to bolo ki majra kya hai
Anwar Taban
dil hai pareshan un ki KHatir
pal bhar ko aaram nahin hai
Anwar Taban