taraf-e-kaba na ja haj ke liye nadan hai
ghaur kar dekh ki hai KHana-e-dil maskan-e-dost
Ameer Minai
tawaqqoa hai dhoke mein aa kar wo paDh len
ki likkha hai nama unhen KHat badal ka
Ameer Minai
teri masjid mein waiz KHas hain auqat rahmat ke
hamare mai-kade mein raat din rahmat barasti hai
Ameer Minai
tir khane ki hawas hai to jigar paida kar
sarfaroshi ki tamanna hai to sar paida ka
Ameer Minai
tir par tir lagao tumhein Dar kis ka hai
sina kis ka hai meri jaan jigar kis ka hai
Ameer Minai
tujh se mangun main tujhi ko ki sabhi kuchh mil jae
sau sawalon se yahi ek sawal achchha hai
Ameer Minai
tum ko aata hai pyar par ghussa
mujh ko ghusse pe pyar aata hai
Ameer Minai