tul-e-shab-e-firaq ka qissa na puchhiye
mahshar talak kahun main agar muKHtasar kahun
Ameer Minai
ulfat mein barabar hai wafa ho ki jafa ho
har baat mein lazzat hai agar dil mein maza ho
Ameer Minai
wae qismat wo bhi kahte hain bura
hum bure sab se hue jin ke liye
Ameer Minai
wahi rah jate hain zabanon par
sher jo intiKHab hote hain
Ameer Minai
wasl ho jae yahin hashr mein kya rakkha hai
aaj ki baat ko kyun kal pe uTha rakkha hai
Ameer Minai
wasl ka din aur itna muKHtasar
din gine jate the is din ke liye
Ameer Minai
wo aur wada wasl ka qasid nahin nahin
sach sach bata ye lafz unhin ki zaban ke hain
Ameer Minai