dayar-e-sajda mein taqlid ka riwaj bhi hai
jahan jhuki hai jabin un ka naqsh-e-pa to nahin
Ali Jawwad Zaidi
dikha di main ne wo manzil jo in donon ke aage hai
pareshan hain ki aaKHir ab kahen kya kufr o din mujh se
Ali Jawwad Zaidi
dil ka lahu nigah se Tapka hai bar-ha
hum rah-e-gham mein aisi bhi manzil se aae hain
Ali Jawwad Zaidi
dil mein jo dard hai wo nigahon se hai ayan
ye baat aur hai na kahen kuchh zaban se hum
Ali Jawwad Zaidi
ek tumhaari yaad ne lakh diye jalae hain
aamad-e-shab ke qabl bhi KHatm-e-sahar ke baad bhi
Ali Jawwad Zaidi
ghazab hua ki in aankhon mein ashk bhar aae
nigah-e-yas se kuchh aur kaam lena tha
Ali Jawwad Zaidi
guftugu ke KHatm ho jaane par aaya ye KHayal
jo zaban tak aa nahin paya wahi to dil mein tha
Ali Jawwad Zaidi