zamane ko dun kya ki daman mein mere
faqat chand aansu hain wo bhi kisi ke
Aleem Masroor
ghar jal raha tha sab ke labon par dhuan sa tha
kis kis pe kya hua tha ghazab bolne na pae
Aleem Saba Navedi
lahu ki sukhi hui jhil mein utar kar yun
talash kis ko wo karta raha mere anda
Aleem Saba Navedi
main phir raha hun shahr mein saDkon pe ghaaliban
aawaz de ke mujh ko mera ghar pukar le
Aleem Saba Navedi
andheri shab ka ye KHwab-manzar mujhe ujalon se bhar raha hai
ye raat itni tawil kar de ki ta-qayamat sahar na aae
Aleena Itrat
abhi to chaak pa jari hai raqs miTTi ka
abhi kumhaar ki niyyat badal bhi sakti hai
Aleena Itrat
abhi to chaak pe jari hai raqs miTTi ka
abhi kumhaar ki niyyat badal bhi sakti hai
Aleena Itrat