milega zulf-e-azadi unhen kya mausam-e-gul mein
qafas se chhuT kar gulshan mein jo be-baal-o-par aae
Alam Muzaffar Nagari
wo un ka wada wo ifa-e-ahd ka aalam
ki yaad bhi nahin aata hai bhulta bhi nahin
Alam Muzaffar Nagari
an ke tabir bhi aaya hota
nit-nae KHwab dikhane wala
Alamtaab Tishna
had ho gai thi hum se mohabbat mein kufr ki
jaise KHuda-na-KHwasta wo la-sharik tha
Alamtaab Tishna
hum apne ishq ki ab aur kya shahadat den
hamein hamare raqibon ne mo'tabar jaana
Alamtaab Tishna
har daur mein raha yahi aain-e-munsifi
jo sar na jhuk sake wo qalam kar diye gae
Alamtaab Tishna
is rah-e-mohabbat mein tu sath agar hota
har gam pe gul khilte KHushbu ka safar hota
Alamtaab Tishna