main to masjid se chala tha kisi kaba ki taraf
dukh to ye hai ki ibaadat meri bad-nam hui
Ahmad Rahi
mere habib meri muskurahaTon pe na ja
KHuda-gawah mujhe aaj bhi tera gham hai
Ahmad Rahi
qad o gesu lab-o-ruKHsar ke afsane chale
aaj mahfil mein tere nam pe paimane chale
Ahmad Rahi
waqt ki qabr mein ulfat ka bharam rakhne ko
apni hi lash utari hai tumhein kya malum
Ahmad Rahi
wo dastan jo teri dil-kashi ne chheDi thi
hazar bar meri sadgi ne dohrai
Ahmad Rahi
zindagi ke wo kisi moD pe gahe gahe
mil to jate hain mulaqat kahan hoti hai
Ahmad Rahi
fart-e-gham-e-hawadis-e-dauran ke bawajud
jab bhi tere dayar se guzre machal gae
Ahmad Riyaz