اردو हिंदी
Din guzarta hai kahan raat kahan hoti hai | Shaahi Shayari
din guzarta hai kahan raat kahan hoti hai

Ghazal

Din guzarta hai kahan raat kahan hoti hai

Ahmad Rahi

;

din guzarta hai kahan raat kahan hoti hai
dard ke maron se ab baat kahan hoti hai

ek se chehre to hote hain kai duniya mein
ek si surat-e-haalat kahan hoti hai

zindagi ke wo kisi moD pe gahe gahe
mil to jate hain mulaqat kahan hoti hai

aasmanon se koi bund nahin barsegi
jalte sahraon mein barsat kahan hoti hai

yun to auron ki bahut baaten sunain un ko
apni jo baat hai wo baat kahan hoti hai

jaisi aaghaz-e-mohabbat mein hua karti hai
waisi phir shiddat-e-jazbaat kahan hoti hai

pyar ki aag bana deti hai kundan jin ko
un ke zehnon mein bhala zat kahan hoti hai