dil se dil nazron se nazron ke ulajhne ka saman
jaise sahraon mein nind aai ho diwanon ko
Ahmad Rahi
dur teri mahfil se raat din sulagta hun
tu meri tamanna hai main tera tamasha hun
Ahmad Rahi
har ek baat ke yun to diye jawab us ne
jo KHas baat thi har bar hans ke Tal gaya
Ahmad Rahi
jis taraf jaen jahan jaen bhari duniya mein
rasta roke teri yaad khaDi hoti hai
Ahmad Rahi
kahin ye apni mohabbat ki intiha to nahin
bahut dinon se teri yaad bhi nahin aai
Ahmad Rahi
KHushk KHushk si palken aur sukh jati hain
main teri judai mein is tarah bhi rota hun
Ahmad Rahi
main sochta hun zamane ka haal kya hoga
agar ye uljhi hui zulf tu ne suljhai
Ahmad Rahi