اردو हिंदी
Jite-ji ke aashna hain phir kisi ka kaun hai | Shaahi Shayari
jite-ji ke aashna hain phir kisi ka kaun hai

Ghazal

Jite-ji ke aashna hain phir kisi ka kaun hai

Aagha Akbarabadi

;

jite-ji ke aashna hain phir kisi ka kaun hai
nam ke apne hua karte hain apna kaun hai

jaan-e-jaan tere siwa rashk-e-masiha kaun hai
mar kar Thokar jila de mujh ko aisa kaun hai

ye siyah KHema hai kis ka is mein laila kaun hai
chamber-e-aflak ke parde mein baiTha kaun hai

hum na kahte the ki sauda zulf ka achchha nahin
dekhiye to ab sar-e-bazar ruswa kaun hai

wo to hai be-nur aur ye nur se mamur hai
chashm ko nargis kahega aisa andha kaun hai

dam-ba-dam har baat mein karte ho ThanDi garmiyan
aap ki ukhDi hui baaton pe jamta kaun hai

wadi-e-wahshat mein bhi ham-rah hain aah-o-fughan
apne hamdam sath hain ai jaan tanha kaun hai

KHair hai ai mehrban kis ne unhen sidha kya
aap kyun bal karte hain zulfon se uljha kaun hai

duKHtar-e-raz sach bata teri nazar kis par paDi
TaTTiyon ki aaD mein se kis ko taka kaun hai

aaj maqtal mein khaDe kahte hain wo KHanjar-ba-kaf
bol uThe chahne wala hamara kaun hai

chaar din jo kuchh tamasha dekhna hai dekh le
sair ko phir gulshan-e-duniya mein aata kaun hai

bandh kar tegh o kafan jate hain us qatil ke pas
hum bhi dekhen rokne wala hamara kaun hai

kya tajahul hai ki wo farmate hain aghyar se
main nahin pahchanta mutlaq ki 'agha' kaun hai