har chand 'wahshat' apni ghazal thi giri hui
mahfil suKHan ki gunj uThi wah wah se
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
is zamane mein KHamoshi se nikalta nahin kaam
nala pur-shor ho aur zoron pe fariyaad rahe
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
jo giraftar tumhaara hai wahi hai aazad
jis ko aazad karo tum kabhi aazad na ho
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
kaThin hai kaam to himmat se kaam le ai dil
bigaD kaam na mushkil samajh ke mushkil ko
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
KHak mein kis din milati hai mujhe
us se milne ki tamanna dekhiye
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
KHayal tak na kiya ahl-e-anjuman ne zara
tamam raat jali shama anjuman ke liye
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
kis tarah husn-e-zaban ki ho taraqqi 'wahshat'
main agar KHidmat-e-urdu-e-mualla na karun
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
kuchh samajh kar hi hua hun mauj-e-dariya ka harif
warna main bhi jaanta hun aafiyat sahil mein hai
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
majal-e-tark-e-mohabbat na ek bar hui
KHayal-e-tark-e-mohabbat to bar bar kiya
Wahshat Raza Ali Kalkatvi