azm mein us be-murawwat ki mujhe
dekhna paDta hai kya kya dekhiye
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
eja hai teri jafa ka shikwa
mara mujh ko meri wafa ne
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
chhupa na gosha-nashini se raaz-e-dil 'wahshat'
ki jaanta hai zamana mere suKHan se mujhe
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
dil ko hum kab tak bachae rakhte har aaseb se
Thes aaKHir lag gai shishe mein baal aa hi gaya
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
dil toD diya tum ne mera ab joD chuke tum TuTe ko
wo kaam nihayat aasan tha ye kaam bala ka mushkil hai
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
aankh mein jalwa tera dil mein teri yaad rahe
ye mayassar ho to phir kyun koi nashad rahe
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
donon ne kiya hai mujh ko ruswa
kuchh dard ne aur kuchh dawa ne
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
gardan jhuki hui hai uThate nahin hain sar
Dar hai unhen nigah laDegi nigah se
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
hum ne aalam se bewafai ki
ek mashuq-e-bewafa ke liye
Wahshat Raza Ali Kalkatvi