har nafs utni hi lau dega 'siraj'
jitni jis dil mein hararat hogi
Siraj Lakhnavi
ho gaya aaina-e-haal bhi gard-aluda
god mein lasha-e-mazi ko liye baiTha hun
Siraj Lakhnavi
ek kafir-e-mutlaq hai zulmat ki jawani bhi
be-rahm andhera hai shamen hain na parwane
Siraj Lakhnavi
is dil mein to KHizan ki hawa tak nahin lagi
is phul ko tabah kiya hai bahaar ne
Siraj Lakhnavi
is soch mein baiThe hain jhukae hue sar hum
uTThe teri mahfil se to jaenge kidhar hum
Siraj Lakhnavi
ishq ka banda bhi hun kafir bhi hun momin bhi hun
aap ka dil jo gawahi de wahi kah lijiye
Siraj Lakhnavi
jaan si shai ki mujhe ishq mein kuchh qadr nahin
zindagi jaise kahin main ne paDi pai hai
Siraj Lakhnavi
jo ashk surKH hai nama-nigar hai dil ka
sukut-e-shab mein likhe ja rahe hain afsane
Siraj Lakhnavi
kaise phandega bagh ki diwar
tu giraftar-e-rang-o-bu hai abhi
Siraj Lakhnavi