charagh sajda jala ke dekho hai but-kada dafn zer-e-kaba
hudud-e-islam hi ke andar ye sarhad-e-kafiri milegi
Siraj Lakhnavi
dam-bar-dosh phiren chahe wo gesu bar-dosh
said ban ban ke hamin ne unhen sayyaad kiya
Siraj Lakhnavi
dam ghuTa jata hai mohabbat ka
band hi band guftugu hai abhi
Siraj Lakhnavi
diya hai dard to rang-e-qubul de aisa
jo ashk aankh se Tapke wo dastan ho jae
Siraj Lakhnavi
ek ek se bhik aansuon ki mang raha hun
kis ne mujhe jhonka hai jahannam ki faza mein
Siraj Lakhnavi
aankhen khulin to jag uThin hasraten tamam
us ko bhi kho diya jise paya tha KHwab mein
as my eyes did ope my yearnings did rebound
for I lost the person who in my dreams I found
Siraj Lakhnavi
han tum ko bhul jaane ki koshish karenge hum
tum se bhi ho sake to na aana KHayal mein
Siraj Lakhnavi
hairan hain ab jaen kahan DhunDne tum ko
aaina-e-idrak mein bhi tum nahin rahte
Siraj Lakhnavi
har ashk-e-surKH hai daman-e-shab mein aag ka phul
baghair shama ke bhi jal rahe hain parwane
Siraj Lakhnavi