ghusl-e-tauba ke liye bhi nahin milti hai sharab
ab hamein pyas lagi hai to koi jam nahin
Siraj Lakhnavi
aankhon par apni rakh kar sahil ki aastin ko
hum dil ke Dubne par aansu baha rahe hain
Siraj Lakhnavi
aansu hain kafan-posh sitare hain kafan-rang
lo chaak kiye dete hain daman-e-sahar hum
Siraj Lakhnavi
aag aur dhuan aur hawas aur hai ishq aur
har hausla-e-dil ko mohabbat nahin kahte
Siraj Lakhnavi
aap ke panw ke niche dil hai
ek zara aap ko zahmat hogi
Siraj Lakhnavi
abhi rakkha rahne do taq par yunhi aaftab ka aaina
ki abhi to meri nigah mein wahi mera mah-e-tamam hai
Siraj Lakhnavi
aDon-baDon ke qadam Dagmagae jate hain
paDa hai kaam badalte hue zamane se
Siraj Lakhnavi
chamak shayad abhi giti ke zarron ki nahin dekhi
sitare muskuraate kyun hain zeb-e-asman ho ka
Siraj Lakhnavi
chand tinkon ki saliqe se agar tartib ho
bijliyon ko bhi tawaf-e-ashiyan karna paDe
Siraj Lakhnavi