isi par KHush hain ki ek dusre ke sath rahte hain
abhi tanhai ka matlab nahin samjhe hain ghar wale
Shuja Khaavar
jaisa manzar mile gawara kar
tabsire chhoD de nazara ka
Shuja Khaavar
jin ko qudarat hai taKHayyul par unhen dikhta nahin
jin ki aanhken Thik hain un ko taKHayyul chahiye
Shuja Khaavar
jo zinda ho use to mar dete hain jahan wale
jo marna chahta ho us ko zinda chhoD dete hain
Shuja Khaavar
karam hai mujh pe kisi aur ke jalane ko
wo shaKHs mujh pe koi mehrban thoDi hai
Shuja Khaavar
kuchh nahin bola to mar jaega andar se 'shujaa'
aur agar bola to phir bahar se mara jaega
if silent I remain I will suffocate inside
and if I speak I will surely be crucified
Shuja Khaavar
mere haalat ko bas yun samajh lo
parinde par shajar rakkha hua hai
Shuja Khaavar