qalam mein zor jitna hai judai ki badaulat hai
milan ke baad likhne wale likhna chhoD dete hain
Shuja Khaavar
us bewafa ka shahr hai aur waqt-e-sham hai
aaise mein aarzu baDi himmat ka kaam hai
Shuja Khaavar
us ke bayan se hue har-dil-aziz hum
gham ko samajh rahe the chhupane ki chiz hum
Shuja Khaavar
us ko na KHayal aae to hum munh se kahen kya
wo bhi to mile hum se hamin us se milen kya
Shuja Khaavar
wasl hua par dil mein tamanna
jaisi thi waisi rakkhi hai
Shuja Khaavar
ya to jo na-fahm hain wo bolte hain in dinon
ya jinhen KHamosh rahne ki saza malum hai
Shuja Khaavar
ye duniya-dari aur irfan ka dawa 'shuja-KHawar'
miyan irfan ho jae to duniya chhoD dete hain
Shuja Khaavar
zindagi bhar zinda rahne ki yahi tarkib hai
us taraf jaana nahin bilkul jidhar ki sochna
Shuja Khaavar
hazar rang mein mumkin hai dard ka izhaar
tere firaq mein marna hi kya zaruri hai
Shuja Khaavar

