اردو हिंदी
Haalaat Shayari | Shaahi Shayari

Haalaat

6 Shers

subh hote hi nikal aate hain bazar mein log
gaThriyan sar pe uThae hue imanon ki

Ahmad Nadeem Qasmi




ye dhup to har ruKH se pareshan karegi
kyun DhunD rahe ho kisi diwar ka saya

Athar Nafees




jama karti hai mujhe raat bahut mushkil se
subh ko ghar se nikalte hi bikharne ke liye

Javed Shaheen




mujh se ziyaada kaun tamasha dekh sakega
gandhi-ji ke tinon bandar mere anda

Nazir Wahid




haalat se KHauf kha raha hun
shishe ke mahal bana raha hun

Qateel Shifai




mere haalat ko bas yun samajh lo
parinde par shajar rakkha hua hai

Shuja Khaavar