اردو हिंदी
Ghar mein bechaini ho to agle safar ki sochna | Shaahi Shayari
ghar mein bechaini ho to agle safar ki sochna

Ghazal

Ghar mein bechaini ho to agle safar ki sochna

Shuja Khaavar

;

ghar mein bechaini ho to agle safar ki sochna
phir safar nakaam ho jae to ghar ki sochna

hijr mein imkan itne wasl sirf ek waqia
wusat-e-sahra mein kya diwar-o-dar ki sochna

yani ghar aur dasht donon lazim-o-malzum hain
qaeda ye hai idhar rahna udhar ki sochna

is tarah jina ki auron ka bharam qaem rahe
maut bar-haq hai magar us chaara-gar ki sochna

zindagi bhar zinda rahne ki yahi tarkib hai
us taraf jaana nahin bilkul jidhar ki sochna

tum shuja-KHawar ho duniya-dar aur main jaan-dar
main to bas aahen bharunga tum asar ki sochna