dud-e-ah-e-jigari kaam na aaya yaro
warna ru-e-shab-e-hijr aur bhi kala karta
Shah Naseer
gale mein tu ne wahan motiyon ka pahna haar
yahan pe ashk-e-musalsal gale ka haar raha
Shah Naseer
gharaz na furqat mein kufr se thi na kaam islam se raha tha
KHayal-e-zulf-e-butan hi har dam hamein to lail-o-nahaar aaya
Shah Naseer
gardish-e-charKH nahin kam bhi hanDole se ki mahr
sham ko mah se uncha hai sahar hai nicha
Shah Naseer
ghazal is bahr mein kya tum ne likhi hai ye 'nasir'
jis se hai rang-e-gul-e-mani-e-mushkil Tapka
Shah Naseer
ghurur-e-husn na kar jazba-e-zuleKHa dekh
kiya hai ishq ne yusuf ghulam aashiq ka
Shah Naseer
hum dikhaenge tamasha tujh ko phir sarw-e-chaman
dil se gar sarzad hamare nala-e-mauzun hua
Shah Naseer
hum hain aur majnun azal se KHana-parward-e-junun
us ne ki sahra-nawardi hum ne galiyan dekhiyan
Shah Naseer
hum wo falak hain ahl-e-tawakkul ki misl-e-mah
rakhte nahin hain nan-e-shabina bara-e-subh
Shah Naseer