mulla ki dauD jaise hai masjid talak 'nasir'
hai mast ki bhi KHana-e-KHummar tak pahunch
Shah Naseer
'nasir' ab hum ko kya hai qissa-e-kaunain se matlab
ki chashm-e-pur-fusun-e-yar ka afsana rakhte hain
Shah Naseer
'nasir' us zulf ki ye kaj-adai koi jati hai
masal mashhur hai rassi jali lekin na bal nikla
Shah Naseer
pistan ko tere dekh ke miT jae phir hubab
dariya mein ta-ba-sina agar tu nahae subh
Shah Naseer
puchhne walon ko kya kahiye ki dhoke mein nahin
kufr o islam haqiqat mein hain yaksan hum ko
Shah Naseer
akh qadam hoshyar ho kar ishq ki manzil mein aah
jo hua is rah mein ghafil Thikane lag gaya
Shah Naseer
eKHta ke qasr ki buniyaad uThai ai 'nasir'
kaam hai mulk-e-suKHan mein sahib-e-maqdur ka
Shah Naseer
uwaq-e-chashm mein mat rah ki hai makan-e-nuzul
tere to waste ye qasr hai bana dil ka
Shah Naseer
sab pe raushan hai ki rah-e-ishq mein manind-e-shama
panw par se hum ne qurban rafta rafta sar kiya
Shah Naseer

