اردو हिंदी
Shah Naseer Shayari | Shaahi Shayari

Shah Naseer Shers

94 Shers

chaman mein dekhte hi paD gai kuchh os ghunchon par
tere bustan pe aalam hai ajab shabnam ke mahram ka

Shah Naseer


Tags: | 2 Lines Shayari |


chaman mein ghuncha munh khole hai jab kuchh dil ki kahne ko
nasim-e-subh bhar rakhti hai baaton mein laga lipTa

Shah Naseer


Tags: | 2 Lines Shayari |


dair-o-kaba mein tafawut KHalq ke nazdik hai
shahid-e-mani ka har surat hai ghar donon taraf

Shah Naseer


Tags: | 2 Lines Shayari |


de mujh ko bhi is daur mein saqi sipar-e-jam
har mauj-e-hawa khinche hai shamshir hawa pa

Shah Naseer




dekh tu yar-e-baada-kash main ne bhi kaam kya kiya
de ke kabab-e-dil tujhe haqq-e-namak ada kiya

Shah Naseer


Tags: | 2 Lines Shayari |


dekhoge ki main kaisa phir shor machata hun
tum ab ke namak mere zaKHmon pe chhiDak dekho

Shah Naseer




dila us ki kakul se rakh jama KHatir
pareshan se hasil kab ek dam hoga

Shah Naseer


Tags: | 2 Lines Shayari |


dil-e-pur-abla laya hun dikhane tum ko
band ai shisha-garo! apni dukan kijiyega

Shah Naseer




din raat yahan putliyon ka nach rahe hai
hairat hai ki tu mahw-e-tamasha nahin hota

Shah Naseer


Tags: | 2 Lines Shayari |