dikhaunga tujhe zahid us aafat-e-din ko
KHalal dimagh mein tere hai parsai ka
Sauda Mohammad Rafi
dil ke TukDon ko baghal-gir liye phirta hun
kuchh ilaj is ka bhi ai shisha-giran hai ki nahin
Sauda Mohammad Rafi
dil mat Tapak nazar se ki paya na jaega
jun ashk phir zamin se uThaya na jaega
Sauda Mohammad Rafi
fikr-e-maash ishq-e-butan yaad-e-raftagan
is zindagi mein ab koi kya kya kiya kare
Sauda Mohammad Rafi
firaq-e-KHuld se gandum hai sina-chaak ab tak
ilahi ho na watan se koi gharib juda
Sauda Mohammad Rafi
gar ho sharab o KHalwat o mahbub-e-KHub-ru
zahid qasam hai tujh ko jo tu ho to kya kare
Sauda Mohammad Rafi
gar tujh mein hai wafa to jafakar kaun hai
dil-dar tu hua to dil-azar kaun hai
Sauda Mohammad Rafi
gharaz kufr se kuchh na din se hai matlab
tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain
Sauda Mohammad Rafi
gila likhun main agar teri bewafai ka
lahu mein gharq safina ho aashnai ka
Sauda Mohammad Rafi