nasim hai tere kuche mein aur saba bhi hai
hamari KHak se dekho to kuchh raha bhi hai
Sauda Mohammad Rafi
nahin hai ghar koi aisa jahan us ko na dekha ho
kanhayya se nahin kuchh kam sanam mera wo harjai
Sauda Mohammad Rafi
na kar 'sauda' tu shikwa hum se dil ki be-qarari ka
mohabbat kis ko deti hai miyan aaram duniya mein
Sauda Mohammad Rafi
na jiya teri chashm ka mara
na teri zulf ka bandha chhuTa
Sauda Mohammad Rafi
mauj-e-nasim aaj hai aaluda gard se
dil KHak ho gaya hai kisi be-qarar ka
Sauda Mohammad Rafi
mat puchh ye ki raat kaTi kyunke tujh baghair
is guftugu se faeda pyare guzar gai
Sauda Mohammad Rafi
mai-kashan ruh hamari bhi kabhi shad karo
TuTe gar bazm mein shisha to hamein yaad karo
Sauda Mohammad Rafi
main ne tum ko dil diya aur tum ne mujhe ruswa kiya
main ne tum se kya kiya aur tum ne mujh se kya kiya
Sauda Mohammad Rafi
kya zid hai mere sath KHuda jaane wagarna
kafi hai tasalli ko meri ek nazar bhi
Sauda Mohammad Rafi